Hello doston! 🌸
Aaj ka blog kisi specific topic par nahi hai. Socha chalo kuch dil ki baatein share kar lein. Kya aapne kabhi apne aap se poocha hai: what is life? “Zindagi asal mein kya hai?”
Meri nazar mein zindagi ek safar hai. Har din ek naya sabaq sikhaata hai, har lamha apna asar chhod jaata hai. Kabhi yeh safar aasaan lagta hai, to kabhi itna mushkil ke insaan thak kar sochta hai bas sab chhod de. Lekin phir bhi kuch na kuch humein rok leta hai—kabhi umeed, kabhi khud se mohabbat, aur kabhi koi apna jo humare liye bohot khaas hota hai jis sy hamy muhabbt hoti hai.
Lekin… hamesha aisa nahi hota. Kabhi wohi log jo humein hosla dete hain, wahi ek din humein thaka dete hain. Woh hamari ki hoe efforts ko hmary munh par mar dety hain or kehty hain ginwao tumny kia hi kia hai… Jin ke liye hum sab kuch balance karne ki koshish karte hain apny ap ko sabit krny ki , apne dreams apna app or apni khwaishat bhool jaate hain, wahi log ek waqt aisa le aate hain ke humari saari koshish bekaar lagti hai or ham kabe apny ap ko sabit nahe kr sakty un logon ky samny. Ek choti si ghalti ko woh itna bada bana dete hain ke humari puri ki puri efforts unke liye zero ho jaati hain.
Sabse zyada dard tab hota hai jab aapne sab kuch unke liye sacrifice kiya ho, lekin unki nazar mein aap ki mehnat aur mohabbat ka koi value hi na rahe. Us waqt insaan sirf Allah ki taraf rujoo karta hai, kyunki wohi ek Rab hai jo humari har choti badi sacrifice aur har choti badi dua ko dekh raha hota hai.
Haan, dil zaroor dhukta hai, lekin ek cheez samajh aati hai: har dard ke saath ek lesson chhupa hota hai. Aur waqt ke sath insaan badal jaata hai. Jo pehle kamzor lagta hai, wahi dheere dheere mazboot aur samajhdar ho jaata hai.
Log bhool jaate hain humne kya kiya, lekin zindagi kabhi waste nahi hoti. Har effort, har sacrifice ek beej hai jo waqt aane par phal deta hai.
Mai hun apki dost DAY DREAMER🕊️
Phir milyn gyn ek naye khayal ky sath
Leave a comment
Your email address will not be published. Email is optional. Required fields are marked *