Read Now

Search

Best Tea Moments & Natural Ehsas☕️

  • Share this:
Best Tea Moments & Natural Ehsas☕️

Hello friends, chai pi lo!!

Lekin khaali chai kesay ache lagay gi, aao saath kuch meethi baatein kartay hain taa k aapka mood aur bhi fresh ho jaye. Wesay idk kin kin ko chai pasand hai, lekin mai to tea lover hun!! Aur chai ke har cup ke saath ek kahani judi hoti hai — ek moment jo chai peete peete ban jaye, woh hamesha yaad rehta hai…

Kya aap ne gheeli mitti ki khushboo smell ki hai? Jinhon ne ki hai, to woh is waqt usay yaad kar rahe honge kyunki woh kuch is tarah ki khushboo hoti hai jiska koi perfume muqabla nahi kar sakta. Mujhe to aisa lagta hai, aap sab ka pata nahi…


 

Yeh ek aisa ehsas hai jisko aap mehsoos karte ho to aapki rooh taza ho jaati hai, jaise barish ke baad aasman mein humein bohot se rang dekhne ko milte hain aur hum un rangon ko dekhte hain to aankhein thandi ho jaati hain. Isi tarah gheeli mitti se aane wali mehak bhi kuch is tarah ki hi hoti hai.


 

Main kabhi beach par nahi gayi, samandar kinare par main zaroor experience karna chaungi — khula aasman, us par urtay hue parinday, wasee samandar, paani ki lehrein… aur jab humare paon gheeli rait ko choote hain aur paani ki ek lehr jab humare pairon ko apne honay ka ehsas dilati hai to kaisa lagta hoga?

1356896a-d87b-4cbd-82a3-2023ff05cb08.webp

Kya tab bhi gheeli mitti ki woh taza khushboo aati hogi?

Jab shaam ke waqt suraj doobta hoga to woh samandar par kis tarah ka rang bikherta hoga?

8c134555-a22c-412c-b58e-e1c3447e42d6.webp

Aur jab raat ke baad nikalti hui suraj ki kirnein jab samandar ko apna roop dikhati hongi to us waqt samandar kaunsa rang ikhtiyar karta hoga?

Kya yeh bhi ek khoobsurat ehsas hoga?

Kya paani ki lehrein aur gheeli rait bhi koi jazbaat rakhti hongi?

6bbfd2d5-2b54-43af-a362-af420c5a9ee0.webp

Kya woh ehsas hum bhi mehsoos kar sakte hain?


 

Agar aap sab ne yeh moment experience kiya hai to comment section mein zaroor batayein…


 

Main hoon aapki dost Day Dreamer🕊️,

phir milenge ek naye chai ke cup ke saath… 🪽


 

Day Dreamer

Day Dreamer

Day Dreamer hun, sirf sochti nahi likhti bhi hun, har soch, har lamha ek naya lafz ban jata hae.... PaperSoul par tumhe mile gi stories, emotions aur wo thoughts jo aksar dil me hi reh jaate hain. Meri har post me thori si mein hun, aur thora sa woh jo keh nahi pa rahi.

Leave a comment

Your email address will not be published. Email is optional. Required fields are marked *