Hello doston!
Toh aaj dobara haazir hai aapki dost Day Dreamer 🕊️
Aaj main aapke liye layi hoon apna ek naya khayal — jo dekhne mein toh bohot simple sa lagta hai, lekin apne andar ek kahani chhupaye baithe hai.
G han! Main baat kar rahi hoon darakht se girty hoy ek patte ke baare mein. Jo khamoshi se, naachte hue zameen par aa girta hai… Lekin kya aapne kabhi socha, woh kitne mosamon se guzarta hua yahan tak pohonchta hai?
Patte ka safar bilkul insaan ki life ke phases ki tarah hota hai — bachpan, jawani, burhapa…
Aur wah! Ye toh insaan ki zindagi se compare ho gaya. Chaliye isko mazeed interesting banate hain.
Ek patta kitne mosamon se guzarta hai… woh dhoop dekhta hai, har mosam mein ek nayi kahani jeeta hai. Kabhi phoolon ki khushboo, kabhi toofan ka samna… Kabhi bahar ke rang, kabhi hawa ka ehsas, kabhi barish ka saamna. Titli, keere, makore — in sab ko sahara deta hai. Sardi aati hai toh barf se dhak jaata hai, lekin khamoshi se har mosam seh leta hai. Har mosam us par apna asar chhod jaata hai — kabhi suraj ki garmi, kabhi barish ki boonden.
Kya aapne kabhi socha? Patta bhi ek musafir hota hai — bilkul hamari tarah. Aur jab yeh sab lamhe guzarta hai toh khiza ka mosam aata hai. Jab usse pata lagta hai ke ab purani jagah chhod kar ek nayi zindagi ka safar shuru karna hai. Rang badalta hai, tayyar hota hai naye safar ke liye, zameen par naachte hue girta hai, mitti se dosti karta hai… aur ek naye darakht ka hissa ban jaata hai.
Toh doston, kya aapko nahi lagta ke hum insaan bhi isi process se guzarte hain? Bachpan, jawani, burhapa…
Bachpan hamesha rangeen hota hai — hara bhara, fresh, or adventurous
Phir aati hai jawani — yeh woh waqt hota hai jab hum suraj ki garmi aur chhaon dono ka samna karte hain. Kabhi kabhi garmi thaka deti hai, lekin phir bhi hum usse seh kar apne raaste par chalte rehte hain chaaon ki talash mai.
Waqt guzarta hai, mausam badalte hain… humein purane rishton, doston, jagahon ko chhodna padta hai — bilkul patte ki tarah. Lekin yeh end nahi hota… yeh ek nayi shuruaat hoti hai.

Toh bas doston, kehne ka maqsad yeh hai ke humein kisi bhi mosam se ghabrana nahi chahiye. Ye humari life ka part hain aur har insaan inka samna karta hai. Humein udaas ya mayoos hone ke bajaye patte ki tarah mazboot rehna chahiye — jo har mosam seh kar apni manzil tak pohonchta hai.
Aaj ka topic shayad thoda serious tha, lekin ek lesson ke saath tha. Umeed hai ke aapko mera blog pasand aaya hoga, aur aap apni zindagi ke har phase ko aasani se handle karenge.
Main hoon aapki dost DAY DREAMER 🕊️ — phir milenge ek naye khayal ke saath 🌸
Leave a comment
Your email address will not be published. Email is optional. Required fields are marked *