Hello doston!
Mai hoon Day Dreamer aur chalo aj nature pr izhar-e-khayal kia jaye.
Aur jab maine “nature” bola hai to mere mind mein zameen, asmaan, pahar, trees, flowers aur bohat si khoobsurat cheezon ki picture ban gayi hai.
Aur hum sab ko pata hai har cheez apne andar ek kahani liye bethi hai…
To aj mai apko barish aur zameen k rishtay k baare mein btaoun gi.
As we all know k bohat hi purana aur gehra rishta hai in dono ka.
Kabhi apne socha hai ke asmaan aur zameen kitne rang lye baithe hain?
Har subah humein asmaan ka naya chehra dekhne ko milta hai.
Aur kya apko pata hai? Jesa rang asmaan ka hota hai, zameen par bhi wohi mahool hota hai.
Aj barish ho rahi thi to maine socha… shayad asmaan bohat khush hai.
Mujhe nahi pata aap kya sochtay hain, par maine to yehi socha…
Kyun ke main to Day Dreamer hoon na, mujhe to har rang mein feeling nazar aati hai…
To khair, jab asmaan khush hota hai to woh barish barsata hai.
Ab agar main in dono ke rishtay ko jorun to… khush kaun hota hai?
Apko to ab pata hi hoga mai kis ki baat kar rahi hoon…
Itne samajhdaar to aap sab bhi hain na?
Haan ji, sahi pehchana — zameen!
Aur us par mojood har cheez… aur main bhi.
(aur iska saboot bachpan mein hamari Urdu ki kitaab ki ek nazam ne bhi diya tha:
“Meem mein log nahaaye gy, kaalay badal aayen gy”) lol.
Pata nahi apko barish pasand hai ya nahi,
Par mujhe to bohat pasand hai.
Aapko nahi bhi pasand to mere is blog ke baad zarur achi lagne lage gi.
Aur mujhe pata hai jinko nahi bhi achi lagti,
Woh phir bhi apna Snapchat ka camera zaroor kholtay hain (mai yeh secret rakhungi) hehe.
Achha to wapas asmaan aur zameen ke rishtay par aate hain.
Main chai pee rahi hoon aur bahar barish ho rahi hai.
Haan ji, sahi pehchana — main ab chai aur barish ke mast combination ke baare mein batane lagi hoon.
Garam chai ki ek chuski, barish ki aawaaz…
Aur agar sath pakoray add kar diye jaayein to ufff!
Meri feeling aap samajh hi gaye honge.
Main to bas likhti jaa rahi hoon.
Waise pakoray optional hain😄
Chaliye aayein, mai apke sath apna ek mast experience share karti hoon — barish ka, woh bhi paharon mein.
Ab main yeh likhti hui us moment ko dobara experience karungi…
To…
Barish ho rahi thi, aur main apne hotel ke room mein thi.
Mere room ki khidki se pahar aur darya behta hua nazar aata tha.
Darya mein barish ke paani ki girti hui har boond mere andar sama gayi.
Aur samne pahar… ufff!
To phir manzar aur bhi khoobsurat ho gaya…
Aur maine noodles bhi khaye thay — khidki ke paas kharay ho kar.
Kyun ke main to bas likhti hoon… to yeh bhi bata diya 😄
Kya aap sab ne yeh moment experience kiya hai?
Nahi kiya to ab zarur kijiye ga…
Shayad aap bhi meri tarah kisi day dreamer mode mein chale jaayein.
Kyun ke meri life ki yeh ek wonderful memory hai.
Aur kya pata aapki bhi ban jaaye…
Ab mujhe yaqeen hai ke jinko barish nahi bhi pasand —Unka bhi dil thoda pighal gaya hoga…
Aur unko bhi achi lagne lagi hogi…
Aur woh bhi aisay moments experience karna chahain…
Bas main ab yehi kehna chaungi:
Zameen aur asmaan ka rishta jazbaat ka hai.
Jab asmaan apni baat kehna chahta hai to barish ke zariye kehta hai.
Aur zameen sunti hai…
Bilkul hum jaise…
Kabhi udaas, kabhi khush — lekin hamesha connected.
⸻
Agar apko mera yeh blog pasand aaya to mujhe zaroor batayein.
Aur agar apne koi aisa moment experience kiya ho to comment section mein likhna mat bhoolna.
Main zaroor parhungi…
Kyun ke main hoon apki dost, Day Dreamer ❤️
Leave a comment
Your email address will not be published. Email is optional. Required fields are marked *