Read Now

Search

The Disappearing Passenger: A Thrilling Train Journey Mystery Story

  • Share this:
The Disappearing Passenger: A Thrilling Train Journey Mystery Story

Train ka safar chal raha hota hai jab raat me ek passenger ghaib ho jata hai.. Ali aur us ke 2 dost ek chhote se gaon Chakwal me rehte hain. Teeno dost faisla karte hain ke woh shehar ja kar naukri karein ge aur wahi par zindagi guzarein ge… Ali, us ka dost Asim aur Ijaz jumme wale din Asar ki namaz ke baad Lahore ki train me baithte hain aur rawana ho jate hain…Thodi dair baad train ka conductor un se ticket lene aata hai jis ne kaale rang ki hat, kaale rang ka coat aur kala chashma lagaya hota hai. Chashme ke peeche se us ki aankhein ajeeb si chamak rahi hoti hain. Ali ko us ka hulia dekh kar taajjub hota hai lekin woh ignore kar deta hai. Raat ke 9:30 baj rahe hote hain, train me halka halka andhera hota hai, suni suni seats aur train ki halki halki aawaz sunai de rahi hoti hai… 

8869295B-EDC9-4713-833A-03053BD1D05F

Ali apni saath wali seat par dekhta hai to us par baitha hua shakhs apni seat par maujood nahin hota. Kuch pal me hi Ali ko kuch girne ki aawaz sunai deti hai. Woh taajjub me uthta hai, dheere dheere apne qadam barhata hai to samne se us ko train ka conductor nazar aata hai. Is baar conductor ke coat par laal rang ka dhaag hota hai. Ali us ko dekh kar ghabra jata hai aur wapas apni jagah par aa kar baith jata hai. Woh ye saara waqia apne doston ko batata hai aur teeno is natije par nikalte hain ke train me kuch ghalat hai.

7920217E-907E-4535-BCC3-4E1EB7AC2A93

Ab woh teeno faisla karte hain ke pata lagayenge ke kya ghalat hai… Ali uthta hai aur kehta hai tum dono yahin baitho, kuch ajeeb ho to mujhe batana. Ali ko dhoondhne par ek compartment ka darwaza nazar aata hai, woh compartment ke paas jata hai aur darwaza kholne ki koshish karta hai lekin darwaza band hota hai.


Ali wapas jata hai aur apne doston ko kehta hai tum mere saath chalo. Ali aur us ke dost compartment ke paas jate hain aur darwaza kholne ki koshish karte hain… zor lagane par darwaza khul jata hai…. Darwaza khulne par teeno ki aankhein hairat se bhari hoti hain aur ek hi sawal teeno ke zehan me chal raha hota hai — ye kya hai??? 

Purane suitcases, zameen par khoon aur ek purani diary jisme saalon purane passengers ke naam hote hain, aur ek rumal nazar aata hai jo us passenger ke haath me tha jo ghaib hua tha. Ye sab dekh kar teeno ka dil khauf se bhar jata hai… Ali ne diary uthai to us me kuch yun likha hota hai: Delivery Lahore raat 12:30 baje… Diary ke neeche ek steel ka box pada hota hai jo Asim ko nazar aata hai. Woh box uthata hai, usay kholta hai to us me medical tools, injections aur blood bags dekh kar woh sakht ho jata hai… Dono ki nazar darwaze par padti hai to conductor unhein darwaze par khara ghoor raha hota hai…

A232D125-CC49-4550-B5B9-BEDE76820FF9

 


“Bohat zyada jaan’ne ki koshish kar rahe ho tum log… bas, bohot jaan liya,” conductor ghusse bhari aawaz me kehta hai. Woh compartment se bhaagne lagte hain to conductor aur do aadmi un ka rasta gher lete hain… Ali ko samajh aa jata hai ke ye log organs chura kar passengers ko raste me phenk dete hain… Itne me Asim ek heavy suitcase utha kar conductor ke munh par marta hai jis se woh zameen par gir jata hai, Ali bhi wahi karta hai aur teeno compartment se bhaar nikal jate hain.

7672C30B-5F79-4BFF-9FED-33A5CA18748B

Ijaz bhaag kar aata hai aur train ka emergency brake pull kar deta hai… Conductor us ke peeche bhaagta hai to Ijaz us ko pakar leta hai. Train jhatke se rukti hai aur afra-tafri ka mahaul ban jata hai.

Is sab ka faida uthate hue teeno dost police constable ko bula lete hain jo train me duty par tha… Police gang ko giraftar karti hai. Conductor ko pakda jata hai to pata chalta hai ke woh railway ka staff nahin balki gang ka member tha jo uniform me chup kar kaam kar raha tha.

37E93D6A-5606-4D0F-8CB2-647114F305DA

Shehar pohnchne par police press conference me gang ko expose karti hai aur teeno doston ke naam akhbar me chap jate hain… Lekin Ali ke dil me ek sawal rehta hai — kya gang ke saare aadmi pakde gaye ya abhi bhi koi azaad hai jo in ko orders deta tha???

050CB91D-91EF-42A1-B473-1A1E1362EB14

_____________________________________________

To doston, kaisi lagi meri kahani? Achhi lagi ho to comment me zaroor batayein aur ye bhi batayein ke aap ko is kahani ka doosra part chahiye?


 

Main hoon aap ki dost Day Dreamer 🕊️Phir milte hain ek naye kahani ke saath 🌸  

 


 

 


 

Day Dreamer

Day Dreamer

Day Dreamer hun, sirf sochti nahi likhti bhi hun, har soch, har lamha ek naya lafz ban jata hae.... PaperSoul par tumhe mile gi stories, emotions aur wo thoughts jo aksar dil me hi reh jaate hain. Meri har post me thori si mein hun, aur thora sa woh jo keh nahi pa rahi.

Leave a comment

Your email address will not be published. Email is optional. Required fields are marked *