CHAPTER 2: GAME START
siren ki awaz puray ghar me goonj rahi thi.
Shahid, Ahmed aur Zoya ek dusre ko dar ke sath dekhte hain, itne mai ek robotic awaz ati hai,
Welcome Players! Game mai apko khush amdeed … Game mai bachay rehne ke liye apko levels clear karne honge aur jo player harta hai woh game se bahar ho jaye ga. Game ke rules samajhne ke liye corridor mai tashreef layen!
Woh teeno samajh jate hain ke jo in games me hara woh hamesha ke liye idhar hi reh jaye ga. Itne mai teen urti hui kursiyan ati hain aur un teeno ko apne upar bithakar corridor tak le jati hain..

corridor mai ek robotic book khari hoti hai jo insano ki tarah bolti aur chal phir sakti hoti hai.
“Ab mai apko pehli game ke rules samjhaon gi aur ap me se kisi ne bhi rule toda to usko saza mile gi… Rule no 1: Ap teeno ko library jana hai aur wahan par apko clue mile ga aur jab ap woh clue solve kar lenge to apko ek room mile ga jisme apne jana hai, wahan par apki pehli game finish ho jaye gi. Game ka time sirf 10 min hai …

YOUR GAME STARTS NOW!!
Woh teeno library ki janib bhagte hain lekin library ke darwazay par tala laga hota hai

aur us talay ki chabi bhi game ka hissa hoti hai. Ab woh teeno pareshan ho jate hain aur sochte hain ke ab is ki key kahan dhundhe. Unki nazar zameen par parti hai to unko ek safha milta hai jis par ek paheli likhi hoti hai …
“Mai chup rehti hun, lekin har raaz kholti hun”

Woh samajh jate hain ke is ko solve karne par ye chabi mil sakti hai…. Zoya ko samajh ati hai aur woh kehti hai har raaz matlab iska jawab “KITAAB” hai… Ahmed aur Shahid kehte hain tumne sahi pehchana iska jawab kitab hi hai. Jaise hi woh “kitab” bolte hain woh safha chabi me badal jata hai. Shahid chabi se tala kholta hai aur teeno andar dakhil hote hain. Har taraf dhool aur mitti hoti hai aur sannata, woh teeno clue dhundhne mai lag jate hain. Woh kitaboon mai dekhna shuru karte hain unko koi clue nahi milta itne mai Shahid ki nazar deewar par parti hai to us par likha hota hai:
“Mai wahan hota hun jahan roshni nahi hoti”

Shahid ko samajh ajati hai ke yehi clue hai. Ab teeno soch mai par jate hain ke iska jawab kya hoga itne mai siren bajta hai aur awaz ati hai 5 mins left! Woh teeno aur pareshan ho jate hain aur achanak Ahmed ke zehan mai paheli repeat hoti hai aur woh kehta hai “Doston mai wahan hota hun jahan roshni nahi hoti matlab ‘Andhera’, humein andhere mai jana hai jaldi karo.” Woh teeno jahan par roshni nahi par rahi hoti library ke us kone mai jate hain, wahan par ek box hota hai. Woh teeno box kholte hain to usme chabi hoti hai.

Woh teeno library se bhagte hain, bhagte hue Shahid ka haath lag kar ek kitab zameen par girti hai jis par likha hota hai “Roshni ka Safar”.
Itne mai siren phir se bajta hai aur awaz ati hai 60 secs left…. Woh ghar ki janib bhagte hain. Ghar ke andar dakhil hote hain to wahan par ab 15 darwaze hotay hain jisme se sirf ek mai woh chabi lag sakti hai. Woh bari bari darwaza kholte hain aur akhir kar 10 sec pehle unko woh darwaza mil jata hai.

Woh andar dakhil hote hain aur robotic awaz ati hai:
GAME OVER! 3 PLAYERS QUALIFIED!
Ab woh robotic awaz mai dubara bola jata hai:
“Ab final game start hogi aur usme ap sab ek dusre ke opponent honge aur game ka naam hai THE MAZE OF MIRRORS….”

⸻
👉 Kia ap jana chahte hain ke final game kaisi hogi aur kia teeno is game se nikal payenge?
Janne ke liye mere sath jure rahiye final aur last chapter ke liye…
Mai hun apki dost Day Dreamer…
Leave a comment
Your email address will not be published. Email is optional. Required fields are marked *